Kuch log jante hai ya sochte hai ki Roos(Russian) aur America ke darmiyan fasla bahot jayeda hai. Yeh dono opposite side yani Russian ek side aur America ek side lakin aisa nahi hai. Neeche hum kuch dilchasp fact jaanenge use padhe aur share kare. |
Distance between Russian and America |
Un logon ki herat me izafe ke liye batate chalein ke haqeeqat mein roos aur America ki sarhadoon ka darmiyani faasla sirf 2½ mile ya 4 kilometer hai. (Pic dekhe samajhne ke liye)
Ji haan! !! bilkul aisa hi hai, Russian Bering Strait ke tang muqam par America se taqreeban 55 mile ke faasle par hai. Taham, Russian ke darmiyan pani mein do chhootey island hain jinhein Big Diomede aur little Diomede kaha jata hai. Big Diomede Russian ki jabkay little Diomede America ki malkiat hai. Un dono jazero(Island) ke darmiyan pani ka phelao sirf 2.5 mil hai.
Dilchasp baat yeh hai ke mausam sarma (Winter Season) ke douran yeh samandar jam jata hai aur is barf par aap America se roos tak paidal jasaktay hain.
lekin Rukiye!!! hairat ka yeh samandar abhi khatam nahi huwa. Sirf 4 kilometer ke faaslay par agar roos ki taraf waqt 15 May raat ke 11 bujey hai to doosri taraf America mein 14 May raat ke 11 bujey honge.
Hai naa phir dono hairat aur maze ki baatein…😀😇