Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Aabe Muqattar | Aabe Muqattar se Wudu

Spread the love

Aabe Muqattar 

Aabe Muqattar | Aabe Muqattar se Wudu

Chhatti (VIth) jamaat
ke imtihani Parche (Paper) me ek sawal tha.

Darj zail saat(7) me se paanch(5)
alfaaz ko apne jumlon me istemaal karen.

Un me ek lafz tha” Aab e Muqattar”

 Taqreeban tamam talba(students) ne yeh lafz
chod diya siwa ek ladki ke.

 Ladki ne is lafz ka jumla banaya.

” Mere Abbu Rozaana Subah Aab
e Muqattar Se Wudu Karte Hain. “

Mumtahin(Examiner) ne is ladki
ko koi bhi number diye baghair is ka parcha alehda(alag) rakh liya.

Dosray din is ne school ke saare
amlay(Staff) ko is ladki ka jumla dikhaya.

Is ki jama’at me jaakar is ladki
ko bulaya aur is se poocha.

Tumhe Aab e Muqattar ke ma’ana(meaning)
maloom hain?

Ladki ne iqraar kya ke usay
maloom hain.

Ustaad ne poocha kya ma’ana
hain?

Aap hi ne bataya tha ke Qatra
Qatra Pani Tapke to use “Aab e Muqattar” kehte hain.

Ustaad ne kaha, shabash.

Ab batao tum ne kal parche
(Paper) me jumla banaya hai ke mere abbu rozaana subah Aab e Muqattar se wudu
karte hain, is ka kya matlab hai?

Ladki boli…

Darasal hamari tanki ki tonti(Tap)
har waqt tapakti rehti hai. Ammi raat ke waqt is ke neechay jug rakh deti hain
woh subah tak bhar jata hai.

Abbu subah uthte hain to isi Aab
e Muqattar ko lautay me daal kar is se wudu kar lete hai.

😊



Visit Home Page

Read More…

 Islamic Knowledge

World Knowledge


Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top