Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

12 Rabi ul Awwal | Eid e Milad un Nabi | Wiladat or Wisal​

Spread the love

12 Rabi ul Awal

12 Rabi-ul-Awwal Eid e Milad un Nabiﷺ ka din Islami tareekh ka ek bohot hi bade ahmiyat wala din hai. Yeh woh din hai jab Rehmat-ul-lil-Alameen, Hazrat Muhammad Mustafaﷺ, is duniya me tashreef laaye. Aam tor par yeh din Eid Milad-un-Nabi ke tor par manaya jata hai, aur poori duniya ke musalman is mouqa par apne pyare Nabiﷺ ki wiladat ko yaad karte hain.
Jab ki kuch log 12 Rabi-ul-Awwal Eid e Milad un Nabiﷺ ko Hazrat Muhammadﷺ ke wisal ka din bhi kehte hain, Iske mutaliq is blog me ham use tafseer se samajhne ki koshish karenge.
Islam mein tareekhi tor par kuch ikhtilaf paaye jate hain jab Hazrat Muhammadﷺ ke paidaish aur wisal ka din mukhtalif riwayat mein zikar hota hai. Aksar ulema aur tareekh daan is baat par muttahid hain ke 12 Rabi-ul-Awwal Hazrat Muhammadﷺ ki wiladat ka din hai, lekin kuch riwayat yeh bhi batati hain ke yeh unka wisal ka din tha.

12 Rabi ul Awwal | Eid e Milad un Nabi

12 Rabi-ul-Awwal Wiladat Ya Wisal

Paidaish-e-Rasoolﷺ Hazrat Muhammadﷺ ki paidaish momineen ke liye nihayat khushi aur shukr ka mawaqa hai. 12 Rabi ul Awwal yeh Allah ke aakhri paighambar ke aamad ka din hai jo insaniyat ke liye hidayat aur roshni le kar aaye.
Kuchh log ke najdeek Wisaal-e-Rasoolﷺ Isi tareekh ko hua. Iske mutaliq is blog me ham use tafseer se samajhne ki koshish karenge.

Islami Ulema Ki Rahnumai

Shariyat Ka Rawaiyya Khushi Aur Gham Ke Izhaar Par Hazrat Allama Suyutiرضي الله عنه kehte hain: Shukr Ka Izhaar: Shariyat ne nematon par shukr ada karne ka hukm diya hai, jaise ke bachche ki paidaish par aqeeqa ka hukm hai. Gham Aur Museebat Me Sabr: Museebat aur gham ke waqt sabr aur sukoon ikhtiyar karna chahiye aur izhaar se bachna chahiye.

Allama Suyutiرضي الله عنه farmate hain: “Shariat ne nematon ke shukr ka izhaar karne ka hukm diya hai jabki musibaton, gham’o ke waqt sabr wa sukoon aur usey chupaye rakhne ka hukm diya. Kyunki shariat ne bachche ki paidaish par khushi zaahir karne keliye aqeeqa ka hukm diya. Lekin wafat par jaanwaron ke zibah ka hukm nahi diya aur na hi aise kaamo ka hukm hai jo khushi ke mauqa par kiye jaate hai. Balki nauha se bhi mana kiya gaya hai kyu ki yeh besabri ki nishaani hai! Shariat ke qawaneen is baat par gawah hai ki Huzoor Nabi-e-Kareemﷺ ki wiladat shareef ki wajah se is mahine ki khushi ka izhaar karna achcha hai! Lekin aapke wisaal shareef par gham zaahir karna achcha nahi! Na ALLAH TA’AALA ne aayat uthari ki, “Aey momino! Mere Nabi ke wisaal shareef par matam aur saug karna.” Na Huzoor ne farmaya, “Aey mere gulamo, Mere intiqal par gham manana.” Na Sahaba e Kiraam ne aisa kuch farmaya aur na khud matam wa gham manaya toh hum kaise kar sakte? (Al-Hawi Lil Fatawa, Jild 1, Safa 193)

Paidaish-e-Rasool Ki Khushi

Rasoolﷺ ki paidaish ki khushi manane ki ahmiyat: Ilahi Hukm: Shariyat nematon ka shukr ada karne ko kehti hai aur Rasoolﷺ ki paidaish sabse bari nemat hai. Tareekhi Riwayat: Sahaba aur pehle muslim nasal ne Rasoolﷺ ki paidaish ko khushi ke saath manaya aur unki zindagi ke asar ko yaad rakha.

Allah Taalah Quran Majeed me farmata hai:​

قُلْ بِفَضْلِ ٱللَّهِ وَبِرَحْمَتِهِۦ فَبِذَٰلِكَ فَلْيَفْرَحُواْ هُوَ خَيْرٌ مِّمَّا يَجْمَعُونَ

“Tum farmao Allah hi ke fazl aur us ki rehmat aur isi par chahiye ke khushi karein, yeh dono unke sab dhun dolat se behtar hai.”(10:58)

وَمَا أَرْسَلْتُكَ الَّا رَحْمَةً لِلْعَلَمِينَ

“aur hum ne tumhein tamam jahanon ke liye rehmat bana kar hi bheja.”(21:107)

Wisaal Par Gham Ka Izhaar

Islam ke taleemat gham ko sambhalne ke liye: Matam Ka Hukm Nahi: Allah ne Rasoolﷺ ke wisaal par matam ka hukm nahi diya, aur na hi Rasoolﷺ ne aisa hukm diya. Taleemat Par Tawajju: Matam ke bajaye, momineen ko Rasoolﷺ ki taleemat aur unke paigham par amal karne par zor diya gaya hai.

Ibne Rajabرضي الله عنه ne apni kitaab “Al-Lataif” me Rafziyon ke Yaume Aashura (Muharram 10 wi tareekh) ko Hazrat Imam Husainرضي الله عنه ki shahadat ki wajah se matam karne ki burai bayan karte huwe farmaya: “ALLAH TA’AALA aur uske Rasoolﷺ ne Ambiya -e-Kiraam par musibat ke dino aur un ke wisaal ke dino ko matam (gham) karne ka hukm nahi diya toh un se kam darja walon par matam kyun kar kiya jaye?” (Al-Hawi Lil Fatawa, Jild 1, Safa 193)

Ambiyaعليه السلام Ki Zindagi Wafat Ke Baad

Ambiyaعليه السلام Apni Qabron Me Zinda Hain

Rasool Allahﷺ ne farmaya: “Beshak! Ambiyaعليه السلام-e-Kiraam apni qabron me zinda hain, wo namazein ada karte hain.” (Baihaqi Shareef)
Hazrat Allama Suyutiرضي الله عنه is jaisi aur hadeese naqal karne ke baad farmate hain: “In tamam riwayaton wa hadeeso se zaahir hai ki Huzoorﷺ apne rooh wa jism ke saath zinda hain zameen ke charo taraf aur malkoot me jahan chahe sair(travel) kare aur tasar’ruf kare, apne ikhtiyaarat istemaal kare. Aapko wisaal se pehle jo surat hasil thi wahi ab bhi hai! Usme koi badlau nahi aap sirf nazron se chupe huwe hain jaise farishte nazron se chupe rehte hain! Aap apne jism ke saath zinda hain. ALLAH TA’AALA jisko aap ki deedar se musharraff karna chahta hai, aap se parda hata deta hai aur wo aapko usi haal me dekhta hai jaise aap zahiri hayat me the. Is me koi cheez rukhawat nahi aur yeh kehne ki bhi zarurat nahi hai ki aap ke jism pak ko kai shakle ata farma deta hai aur aadmi aapki shabeeho ko dekhta hai, balki aap ko zahiri taur par dekhta hai!” (Al-Hawi Lil Fatawa, Jild 2, Safa 265)

Natijah (Conclusion)

12 Rabi-ul-Awwal Eid e Milad un Nabiﷺ ko yeh dawat deti hai ke Rasool Allahﷺ ki paidaish ki khushi manayein. Allah ki sabse badi ramat ka shukr ada kare, kyuki jo itna Allah taalah ka shukr ata karta allah use utna ata karta hai.

Humare liye asal paigham yeh hai ke agar hum Nabiﷺ se sachchi muhabbat karte hai to hum apne pyare Nabiﷺ ki zindagi aur taleemat ko apni zindagi ka hissa banayen. Unka paigham aman, insaf, aur haq par mabni tha, aur yeh paigham har daur ke liye hai. Sab se zyada ahem yeh hai ke hum unke chalay huye rasty par chalain aur apni zindagi mein unke usoolon par amal karen.
Isliye, hame unki zindagi se sabak lene par tawajjo deni chahiye. Hazrat Muhammadﷺ ka asal paigham aman aur musawaat tha, aur yeh baat har musalman ke liye rahnuma hai.


Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top