Eid-ul-Fitr Mubarak

Eid-ul-Fitr Mubarak

May Allah accept [worship] from you and us

Yaum e Ashura | Fazilat aur Barkat

Spread the love

Yaum e Ashura: Fazilat aur Barkat

Yaum e Ashura ki Fazilat aur Barkat ham aksar ulma kiraam se sunte rahte hai aur kitabo me padhte rahte hai. Unhi ki roshni me yaha kuc yaum e ashura ki fazilat aur barkat bayan ki gayi jise padh kar kar aap ka imaan tar-o-taaza ho jayega. Yaum e Ashura ki Fazilat aur Barkat ko janne ke liye post ko poora end tak padhe aur doosro ke saath ise share kare.

Yaum e Ashura | Fazilat aur Barkat

Muharram Muslims ke liye ek intehai ahem aur ghor o fikar ka mahina hai. Muharram ki 10th tareekh, jo Ashura ke naam se jani jati hai, khaas ahmiyat rakhti hai. Yeh roz roza rakhne aur tareekhi waqi’aat ko yaad karne ka din hota hai. Ashura wo din hai jab Prophet Musa (Moses) (عَلَيْهِ ٱلسَّلَامُ) aur Bani Israel ko Fir’on se nijat mili thi, jab Red Sea ka pani do hison me bat gaya tha. Yeh din Imam Hussain, jo ke Prophet Muhammad (صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ) ke potay hai, ke shahadat ko yaad karne ka din hota hai, jo 680 CE mein Karbala ke maidan me hui thi.

10 Muharram ke din ko Yaum e Ashura kaha jata hai. Yaum e Ashura ko Waqya e Karbala se pehle bhi bahot fazilat hasil hai. Yaum e Ashura ki fazilat aur barkatein wa rahmatein ko samajhna dil ko munawwar karta hai.

Yaum e Ashura ke Roze Fazail

Yaum e Ashura | Fazilat aur Barkat

Ramzan ke roze farz hone se pehle, pichhli ummaton mein Ashura ke din ke roze farz the. Huzoor ﷺ aur aapke as’haab bhi yeh roza rakhte the. Jab Ramzan ka roza farz hua to Huzoor ﷺ ne farmaya: “Ashura ka roza jo chahe rakhe aur jo chahe na rakhe.” (Sahih Bukhari)

Yaum e Ashura Eid

Yaum e Ashura | Fazilat aur Barkat

Yahudi Yaum e Ashura ko badi qadar ki nigah se dekhte the aur is din Eid manate the. Ahl e Khaibar bhi Ashura ko roza rakhte aur apni aurato ko kapde aur zewraat se aarasta karte the. Huzoor ﷺ ne inki musabihat na karte hue farmaya: “Tum 2 roza rakh kar khushi manao.” (Sahih Muslim)

Yaum e Ashura Yaum e Nijaat

Yaum e Asura ko Yaum e nijaat isliye kaha jata hai ki, jab Huzoorﷺ Madine aaye to dekha ki yahudi Yaum e Ashura ke din roza rakhte hain aur uski fazilat aur barkat se fayda uthate hai. Wajah maloom hui ki is din Allah Ta’ala ne Hazrat Moosa علیہ السلام aur Bani Israil ko unke dushmano se nijaat ata farmayi. Is par Huzoorﷺ ne farmaya: “Tumse badh kar hum Hazrat Moosa علیہ السلام ko manne wale hain, to is din hum 2 roza rakhenge.” (Sahih Bukhari)

Isliye Yaum e Ashura ke din 2 roza continue rakhna afzal hai: 9-10 Muharram ya 10-11 Muharram.

Yaum e Ashura aur Halakat e Firaun

Yaum e Ashura | Fazilat aur Barkat

Ek riwayat me hai ki Rasoolallah ﷺ ne Yahudio’n se farmaya: “Yeh kaunsa din hai jo tum roza rakhte ho?” Unhone kaha ki is din Hazrat Moosa علیہ السلام aur unki qaum ko Firaun se nijaat mili aur wo garq e samundar hua. (Sahih Muslim)

Ramzan ke Baad Yaum e Ashura ki Fazilat

Bahot si riwayaton ka mafhoom hai ki Ramzan ke roze farz hone se pehle Yaum e Ashura ka roza rakha jaata tha. Huzoor ﷺ khud rakhte the aur doosron ko bhi rakhne ka hukm dete. Ramzan ka roza hone par Huzoor ﷺ ne kisi ko Yaum e Ashura ka roza rakhne ka hukm nahi diya balki yeh kaha: “Jo chahe rakhe aur jo chahe na rakhe.” (Sahih Muslim)

Is se sabit hua ki Ramzan ke baad Yaum e Ashura ki fazilat hai.

Yaum e Ashura ka Roza Saal bhar Gunaho ka Kaffara

Yaum e Ashura | Fazilat aur Barkat

Hazrat Abi Qatada رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ se marwi hai Huzoor ﷺ ne farmaya: “Ashura ke din roze rakhne par guman karta hoon ki is din ko Allah Ta’ala guzre hue saal ke gunaho ka kaffara bana de.” (Sahih Muslim)

Rizq me Barkat

Yaum e Ashura | Fazilat aur Barkat

Hazrat Ibn e Mas’ood رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ se riwayat hai ki Rasoolallah ﷺ ne farmaya: “Yaum e Ashura ke din jisne apne gharwalo par jayeda kharch kiya, uske yaha rizq me barkat rahegi.” (At-Tabarani)

Yaum e Ashura aur Ambiya Karaam

  • Hazrat Adam علیہ السلام:

    Yaum e Ashura | Fazilat aur Barkat

     

    Yaum e Ashura ko hi Hazrat Adam علیہ السلام ki tauba qabool hui. (Ibn Kathir)

  • Hazrat Nooh علیہ السلام:

    Yaum e Ashura | Fazilat aur Barkat

     

    Yaum e Ashura ke din Hazrat Nooh علیہ السلام ki kashti Joodi pahad par ruki. Aap ne waha roza rakha aur apni qaum ko bhi hukm diya. (Tafsir Ibn Kathir)

  • Hazrat Yunus علیہ السلام: Hazrat Yunus علیہ السلام aur Bani Israil par Yaum e Ashura ke din dariya phaad diya gaya. Isi din Hazrat Yunus علیہ السلام machli ke pet se nikle. (Tafsir Ibn Kathir)
  • Hazrat Ibrahim علیہ السلام aur Hazrat Eisa علیہ السلام: Hazrat Ibrahim علیہ السلام aur Hazrat Eisa علیہ السلام ki Yaum e Ashura ke din paidaish hui. (Al-Bidaya wa’l-Nihaya)
  • Hazrat Ibrahim علیہ السلام: Yaum e Ashura ke din Hazrat Ibrahim علیہ السلام ko aag se bachaya gaya. (Tafsir Ibn Kathir)
  • Hazrat Yaqoob علیہ السلام: Yaum e Ashura ke din Hazrat Yaqoob علیہ السلام ko benai wapas hui. (Al-Bidaya wa’l-Nihaya)
  • Hazrat Yusuf علیہ السلام:

    Yaum e Ashura | Fazilat aur Barkat

     

    Yaum e Ashura ke din Hazrat Yusuf علیہ السلام aur Hazrat Yaqoob علیہ السلام ki mulaqat hui aur Hazrat Yusuf علیہ السلام ko jail se nijaat mili. (Tafsir Ibn Kathir)

  • Hazrat Adam علیہ السلام aur Hazrat Ibrahim علیہ السلام: Inki takhleeq hui. (Al-Bidaya wa’l-Nihaya)
  • Hazrat Idrees علیہ السلام: Hazrat Idrees علیہ السلام ko Yaum e Ashura ke din asmaan par utha liya gaya tha. (Tafsir Ibn Kathir)
  • Hazrat Ayyub علیہ السلام: Yaum e Ashura ko hi Hazrat Ayyub علیہ السلام ke masaib door farmaye gaye. (Al-Bidaya wa’l-Nihaya)
  • Allah Ta’ala ne Yaum e Ashura ke din hi Hazrat Jibrail علیہ السلام aur malayka ki takhleeq farmai. (Ibn Kathir) Isi din qayamat qayem hogi. (Ibn Majah)

Waqya e Karbala

Yaum e Ashura | Fazilat aur Barkat

Yaum e Ashura, jo 10 Muharram ko manaya jata hai, ko sirf fazilat aur barkatein ke liye nahi jana jata balki is din Waqya e Karbala bhi pesh aaya, jo Islami tareekh ka ek aham aur dil-dahila dene wala waqiya hai. Is waqiya mein Hazrat Imam Husain رضی اللّٰہ تعالیٰ عنہ aur unke saathiyon ki shahadat hui. Yeh waqiya na sirf Islami tareekh mein balki insani tareekh mein bhi ek misaali qurbani ke taur par yaad rakha jata hai.

Iske Baare Me Mazeed Yaha Padhe


Spread the love

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top